" Ankon mein chubh gayen teri yadon ki kirchiyan
Kandhon py gham ki shaal hai aur chand raat har
Dil tor ke khamosh nazaron ka kiya mila
Shabnam ka yeh sawal hai aur chand raat hai
Campus ki nahr par hai tera hath hath mein
Mausam bhi la-zawal hai aur chand raat hai
Har ik kali ny orh liya matami libaas
Har phool pur malal hai aur chand raat hai
Chahalka saparh raha hai 'Wasi' vahshaton ka rang
Har cheez py zawal hai aur chand raat hai "
Shair ka Naam: Wasi Shah
No comments:
Post a Comment