" Muddat hui hai yar ko mehmaan kiye howe
Dil zid py arh gaya wohi armaan liye howe
Dil mera shikasta hai teri baaton sy phir sy
Is raaz ko kehna hai yehi raaz liye howe
Manind bahar hum ny guzara hai tera sath
Ab kanton py chalna hai wohi gulzar liye howe
Us lamha qayamat c guzar jati hai dil py
Us rah py thehrun jab wohi maat liye howe
Sajdon sy na aahon sy na koshish sy tu hasil
Phir tujh ko manana hai teri baat liye howe
Jeeny ki wajah dy ya marny ka bahana dy
Is aas main thehra hun yehi aas liye howe
Anjum ki ye fitrat hai kabhi haar na many
Phir fatah ko paana hai wohi maat liye howe "
No comments:
Post a Comment